Dil Ne Kis Manzil-E-Be-Nam Mein chhoDa Tha Mujhe

dil ne kis manzil-e-be-nām meñ chhoḌā thā mujhe

raat bhar ḳhud mire saa.e ne bhī DhūñDā thā mujhe

mujh ko hasrat ki haqīqat meñ na dekhā us ko

us ko nārāzgī kyuuñ ḳhvāb meñ dekhā thā mujhe

ajnabī ban ke sar-e-rāh milā thā jo abhī

ye vahī shaḳhs hai jis ne kabhī chāhā thā mujhe

jab bhī tanhā.ī mile ā.īna hai yā maiñ huuñ

us ne kis aan se kis aan meñ dekhā thā mujhe

jin se bhāgā thā vahī sūrateñ phir sāmne haiñ

kaun sī qabr meñ duniyā ne utārā thā mujhe

vo faqat mere liye paidā hue haiñ ‘shohrat’

kaun sā lamha thā jab vahm ye guzrā thā mujhe

Leave a Comment