dil mira phir dukha diya kin ne
so gaya tha jaga diya kin ne
main kahan aur khayal-e-bosa kahan
munh se munh yuun bhida diya kin ne
vo mire chahne ko kya jaane
ye sandesa suna diya kin ne
ham bhi kuchh dekhte samajhte the
sab yakayak chhupa diya kin ne
vo bulae se bhagta tha aur
‘dard’ tujh tak bula diya kin ne
Leave a Reply