dil men yuun chaah ka arman na hua tha so hua
jis ki ḳhatir main pareshan na hua tha so hua
vo bhi kya din the ki jab rahat-e-jan tha koi
vaqt bhi mujh se gurezan na hua tha so hua
kis ko hai tab-e-nigahi tira jalva dekhe
aa.ina ḳhud bhi to hairan na hua tha so hua
gham-gusari ke liye ab nahin aata hai koi
zaḳhm bhar jaane ka imkan na hua tha so hua
ye bhi e.ajaz-e-mohabbat hai ki vo shoḳh kabhi
vaj.h-e-taskin-e-dil-o-jan na hua tha so hua
jal uThin dil men tiri yaad ki sham.en aḳhir
is ḳharabe men charaghan na hua tha so hua
us ki ḳhvahish kahun ya apni tamanna ‘nadir’
bazm men us ki ghazal-ḳhvan na hua tha so hua
Leave a Reply