dil men tire ḳhulus samoya na ja saka
patthar men is gulab ko boya na ja saka
baaqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks
chehra to ansuon se bhi dhoya na ja saka
phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak
ḳhushbu ko barchhiyon men piroya na ja saka
kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab
fan men ḳhud apna gham bhi samoya na ja saka
shab-ḳhun ki rasm aisi paḌi ahl-e-shahr men
logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka
ankhon ki bastiyon men bhi kya qaht-e-ashk tha
chaha ‘kamal’ ro.en to roya na ja saka
Leave a Reply