dil men ḳhushbu si utar jaati hai siine men nuur sa Dhal jaata hai
ḳhvab ik dekh raha hota huun phir ye manzar bhi badal jaata hai
chahta huun ki main uTh kar dekhun chhat se akash ka manzar dekhun
abhi chhat tak hi pahunchti hai aankh paanv ziine se phisal jaata hai
ḳhvab ki gum-shuda ta.abir huun main ik ajab zabt ki tasvir huun main
phir bhi in barf si ankhon men kabhi koi gham hai ki pighal jaata hai
ik dhuan jo na bikharne de mujhe ḳhaak men bhi na utarne de mujhe
jab siyahi ki taraf baḌhta huun ik diya sa kahin jal jaata hai
raah chalta huun iradon ke saath shauq ke saath muradon ke saath
paanv hote hain qarib-e-manzil vaqt hathon se nikal jaata hai
Leave a Reply