dil men khayal-e-nargis-e-janana aa gaya
phulon se khelta hua divana aa gaya
badal ke uthte hi mai o paimana aa gaya
bijli ke saath saath pari-khana aa gaya
maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahar
paimana kya ki vajd men mai-khana aa gaya
us chashm-e-mai-farosh ki tasir kya kahun
honton tak aaj aap hi paimana aa gaya
malum kis ko qais ki divangi ki shaan
hangama sa bapa hai ki divana aa gaya
‘akhtar’ ghazab thi ahd-e-javani ki dastan
ankhon ke aage ek pari-khana aa gaya
Leave a Reply