• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Ko Le Kar Humse Ab Jaan Bhi Talab Karte Hain Aap

dil Ko Le Kar Humse Ab Jaan Bhi Talab Karte Hain Aap

nazeer-akbarabadi

dil ko le kar ham se ab jaan bhi talab karte hain aap

lijiye hazir hai par ye to ghazab karte hain aap

morid-e-taqsir gar hote to lazim thi saza

ye jafa phir kahiye ham par kis sabab karte hain aap

karte ho abru se kushta rukh se dete ho jila

husn men eajaz kya kya roz-o-shab karte hain aap

qais se jo tha kiya dar-parda laila ne suluk

so vahi ai mehrban ham se bhi ab karte hain aap

be-kali hoti hai hasrat se dil-e-sad-chak ko

apni zulf-e-ambarin ko shana jab karte hain aap

ham ne puchha phir bhi us ki jaan phiri sab jism men

nazaa men duuri se jis ko jan-ba-lab karte hain aap

hans ke farmaya ‘nazir’ apni dua-e-lutf se

ye bhi ho sakta hai kya is ka ojab karte hain aap

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kabutar Jis Taraf Se Aa Raha Hai

Shikan Ke Sath Jite Hain Thakan Ki Dastaras Mein Hain

poet

Sab Tamashe Ho Chuke Ab Ghar Chalo

Ishrat-E-Haal Mein Andesha-E-Farda Karna

poet

Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet