Dil Ki Lagi Rah Jaegi

dil kī lagī rah jā.egī

koī kamī rah jā.egī

sho.ale to bujh jā.eñge

aag dabī rah jā.egī

sūkhe patte bikhreñge

shāḳh harī rah jā.egī

ā.īne kho jā.eñge

hairānī rah jā.egī

darvāze chup sādheñge

aahaT sī rah jā.egī

dard ke phaile sāyoñ meñ

tanhā.ī rah jā.egī

vaqt Thahar sā jā.egā

raat aadhī rah jā.egī

Leave a Comment