dil ki ḳhatir ḳhud ko ‘manzar’ rog lagana paḌ jaata hai
ghar ke andar shor agar ho bahar jaana paḌ jaata hai
niind se pahle jhilmil karte aa jaate hain ḳhvab-e-mujassam
so ja.un to jo bhi dekhun ḳhvab bhulana paḌ jaata hai
shahr ke barah darvaze hain ek jharoka hai ḳhushbu ka
sab par tera naam likha hai ye samjhana paḌ jaata hai
pahle-pahal to zabt ke mausam kar jaate hain apna saaya
baad men ankhon hi ankhon men haal sunana paḌ jaata hai
soch sako to itna socho patthar lauT ke aa sakte hain
ek purana qaul sahi lekin dohrana paḌ jaata hai
yaron ki fihrist bane to ḳhali satren bhi rakh lena
‘manzar’ dushman ko bhi ik din yaar banana paḌ jaata hai
Leave a Reply