dil ki dhaḌkan tham ga.i dard-e-nihan baḌhta gaya
jal ga.i hasti miri lekin dhuan baḌhta gaya
zindagi tu hi bata kis ja mujhe le kar chali
ajnabi raston pe aḳhir main kahan baḌhta gaya
dasht-e-vahshat men jala kar zulmaton ki bastiyan
raushni ki samt mera karvan baḌhta gaya
apni barbadi ka zimmedar main ya koi aur
zehn men har vaqt mere ye guman baḌhta gaya
ruuh ne chhoḌa jo tanha jism ko vaqt-e-naza.a
ba.ad phir us ke firaq-e-jism-o-jan baḌhta gaya
tifl se le kar adam tak zindagi ke saath saath
sar pe mere bar-e-ummid-e-garan baḌhta gaya
zindagi aur maut ka yuun silsila chalta raha
tang tha pichhla jahan agla jahan baḌhta gaya
har qadam tha saath ‘arif’ mera nafs-e-da.imi
ibtida se intiha tak main jahan baḌhta gaya
Leave a Reply