
Shahzad Ahmad
dil ka bura nahin magar shaḳhs ajiib Dhab ka hai
mujh se hai ḳhaas dushmani vaise to yaar sab ka hai
duriyon ne miTa diye jo bhi the qurbaton ke ranj
ab miri baat baat men rang tiri talab ka hai
mere lahu men thi ravan jab tire saans ki mahak
jaane ye kab ki baat hai jaane ye zikr kab ka hai
ek zara si baat par badli thi jab tiri nazar
tujh ko ḳhabar nahin magar dil to udaas tab ka hai
kyuun na dil-e-ḳhizan-nasib har gul-e-tar ko chuum le
aaj to phuul phuul men za.iqa us ke lab ka hai
kaif-o-nashat-o-sar-ḳhushi nematen sab usi ki hain
mujh ko ata kiya hua dard bhi mere rab ka hai
shaukat-o-shan-e-izdi dil ne kahan se siikh li
sab se hai be-niyaz bhi dhyan bhi us ko sab ka hai
raah dikha.i tak na di tira-shabi bala ki thi
aankh na khul saki miri nuur bhi is ghazab ka hai
hashr ka din bhi ho to kya ye bhi nasib hai mira
din hai guzar hi ja.ega ḳhauf to mujh ko shab ka hai

Leave a Reply