dil jahan bhi Duuba hai un ki yaad aa.i hai
haa.e kya sukun-parvar dard-e-ashna.i hai
tum sarab ban ban kar apni chhab dikhate ho
tishna-lab musafir ki jaan par ban aa.i hai
ye kashakash-e-hasti kitni duur le aa.i
din kahan guzara hai shab kahan ganva.i hai
zindagi tiri ḳhatir tere dard-mandon ne
ik jahan ki tohmat apne sar uTha.i hai
roz-o-shab miri ḳhatir jis ka dil dhaḌakta tha
ab ye haal hai us ki yaad bhi para.i hai
main sada-e-gum-gashta main ada-e-na-zeba
mera naam kitnon ko vaj.h-e-ḳhud-numa.i hai
ḳhvab ho chuke ‘shahin’ saare vaqiye phir bhi
shahr shahr men ab tak dastan-sara.i hai
Leave a Reply