dil jab se tire hijr men bimar pada hai
jiine se khafa jaan se be-zar pada hai
sauda na bana gesu-e-janan se to kya gham
le lenge kahin aur se bazar pada hai
parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil
tu aur bhi aage kabhi bimar pada hai
farmaiye roke se ruke hain kabhi ashiq
darvaze pe qufl aap ke sau baar pada hai
main dair o haram ho ke tire kuche men pahuncha
do manzilon ka pher bas ai yaar pada hai
ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhi bimar pada hai
tauqir nahin anjuman-e-khas men dil ki
shisha tire mai-khana men bekar pada hai
kuchh sham-e-judai men sujhai nahin deta
parda khirad o hosh pe ai yaar pada hai
‘jauhar’ kahin bikti hi nahin jins-e-mohabbat
kya qaht vafa ka sar-e-bazar pada hai
Leave a Reply