dil ho hassas to jiine men bahut ghaTa hai
main ne ḳhud apne hi zaḳhmon ka lahu chaTa hai
mujh pe ehsan hai miri tesha-ba-kaf sanson ka
zindagi tujh ko pahaḌon ki tarah kaaTa hai
Duub kar dekh samundar huun main avazon ka
talib-e-husn-e-sama.at mira sannaTa hai
main chaTanon ki tarah jin ki kamin-gah bana
rafta rafta unhin lahron ne mujhe chaTa hai
mar chuka huun main ka.i baar jahan ke hathon
apni lashon se ‘muzaffar’ ye kuaan paaTa hai
Leave a Reply