dil hi the ham dukhe hue tum ne dukha liya to kya
tum bhi to be-aman hue ham ko sata liya to kya
aap ke ghar men har taraf manzar-e-mah-o-aftab
ek charagh-e-sham agar main ne jala liya to kya
baagh ka baagh aap ki dastaras-e-havas men hai
ek gharib ne agar phuul utha liya to kya
lutf ye hai ki aadmi aam kare bahar ko
mauj-e-hava-e-rang men aap naha liya to kya
ab kahin bolta nahin ghaib jo kholta nahin
aisa agar koi khuda tum ne bana liya to kya
jo hai khuda ka aadmi us ki hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar haath mila liya to kya
aaj ki hai jo karbala kal pe hai us ka faisla
aaj hi aap ne agar jashn mana liya to kya
log dukhe hue tamam rang bujhe hue tamam
aise men ahl-e-sham ne shahr saja liya to kya
padhta nahin hai ab koi sunta nahin hai ab koi
harf jaga liya to kya sher suna liya to kya
Leave a Reply