bin dekhe us ke jaave ranj o azaab kyuun kar
vo khvab men to aave par aave khvab kyuun kar
paas us ne jo bithaya dil aur tilmilaya
ab jaega khudaya ye iztirab kyuun kar
vo jab se hai safar men dil muztarib hai bar men
baithen ham apne ghar men khana-kharab kyuun kar
saaqi firaq-e-janan halq apne ka hai darban
utre gale se phir yaan qirt-e-sharab kyuun kar
ghamgin hain jis ke gham se vaqif nahin vo ham se
yarab phir is alam se ho sabr-o-tab kyuun kar
vaan hai saval har dam rakhiye milap kam kam
hairan hain ki den ham is ka javab kyuun kar
chhota hai sin tumhara mukhda hai pyara pyara
phir ho bhala gavara sharm-o-hijab kyuun kar
mujh ko to hai ye hairat aisi rahi jo ismat
to hoga sarf-e-ishrat ahd-e-shabab kyuun kar
ab taur ki to apne ‘jurat’ ghazal suna de
dekhen to is ke honge sher intikhab kyuun kar
Leave a Reply