dil hai kyon itna pareshan mujhe malum nahin
kaun hai silsila-jumban mujhe malum nahin
ab ye allah hi jaane vo ḳhizan thi ki bahar
kab hua chaak gareban mujhe malum nahin
mujh ko malum hai har dard ka darman lekin
apne hi dard ka darman mujhe malum nahin
muskurata huun musibat men ye aadat hai miri
zabt mushkil hai ki asan mujhe malum nahin
phuul ban jaane ko ya nazr-e-ḳhizan hone ko
kis liye khilti hain kaliyan mujhe malum nahin
un ki marzi ho to ik aah se aghaz karun
abhi afsane ka unvan mujhe malum nahin
yuun nasheman men huun jis tarah qafas men ho koi
abhi a.in-e-gulistan mujhe malum nahin
janta huun mire dil men bhi kuchh arman hain ‘sa.id’
kaise bar aate hain arman mujhe malum nahin
Leave a Reply