dil hai ki hamen phir se udhar le ke chala hai
ummid se phir rishta-e-jan bandh liya hai
aahaT pe na chaunko ki na aa.egi yahan maut
dastak pe na jaao ki ye avara hua hai
ab sang mudava nahin ashufta-sari ka
yaan sang se bhi phoḌ ke sar dekh liya hai
kya kijiye har kavish-e-darman hui mahdud
har jada-e-imkan hai ki masdud hua hai
zinda hain bahar-taur ki marna nahin bas men
ta-umr hamare liye jiine ki saza hai
ai dil kabhi patthar bhi kahin mom hue hain
jo ḳhvab men dekha hai kahin sach bhi hua hai
Leave a Reply