dil hai apna to gham para.e hain
haa.e kya kya fareb khaa.e hain
taar ashkon ka kis tarah TuuTe
ham bhi ik baar muskura.e hain
takiya tha zad-e-rah par apna
rahzan kitne kaam aa.e hain
main ye samjha tha ham-safar honge
aah kitne muhib saa.e hain
bhuul baiThe huun vo kahin ai dil
aaj kyuun itne yaad aa.e hain
Leave a Reply