dil hai apna na ab jigar dar-pesh
hai tiri chashm-e-mo’atabar dar-pesh
log bimar kyuun na paḌ jaate
jab ki tha husn-e-chara-gar dar-pesh
main hua chahta tha be-qabu
zindagi ho ga.i magar dar-pesh
baat kahni hai aur is men bhi
lafz-o-ma.ani ka hai safar dar-pesh
ahl-e-naqd-o-nazar pareshan hain
jab se ‘jami’ ka hai hunar dar-pesh
Leave a Reply