dil-e-sozan-e-ashiq maḳhzan-e-rang-e-vafa hoga
vo hissa qadr ke qabil hai jitna jal gaya hoga
chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste men
na jaana ab munasib hai vo kab ka mar gaya hoga
ye ik bose pe itni bahs ye zeba nahin tum ko
nahin hai yaad mujh ko ḳhair achchha le liya hoga
chhiḌi thiin husn ki bahsen idhar chand aur idhar tum the
kisi ko dekh kar be-parda koi chhup gaya hoga
andhere ghar ki kuchh parva nahin hai tira-baḳhton ko
tum aao qabr par raushan charagh-e-naqsh-e-pa hoga
muravvat ki to surat bhi nahin dekhi un ankhon ne
agar dhamka.un marne par to kah dega ki kya hoga
tamasha jankani ka kyuun na dekha dekh to lete
ragen jitni khichi thiin dam bhi utna hi khicha hoga
tum aao dekhne vaala nahin koi sar-e-madfan
charagh-e-qabr afsurda tha kab ka bujh gaya hoga
abhi to aag siine men kahin kam hai kahin zaa.id
agar mil ja.enge aapas men sab chhale to kya hoga
chamak uTThi jo mere zaḳhm-e-dil men kya qayamat hai
falak par chand nikla hoga ya koi hinsa hoga
hamin se puchh lo kaise ho tum aur husn kaisa hai
agar a.ine ko dam bhar na dekhoge to kya hoga
gham-e-furqat ka kya shikva qayamat aane vaali hai
ḳhuda ke samne aḳhir to ik din samna hoga
yahi ‘javed’ behtar hai ki ab tauba se kar tauba
vahi chhup kar piyega mai jo tum sa parsa hoga
Leave a Reply