dil diya tab ki bahut zulf-e-rasa ne chaha
aap farmate hain yuun us ki bala ne chaha
ta-dam-e-marg na hon tujh se miri jaan juda
main ne chaha tha va-lekin na khuda ne chaha
chal base dekhte hi chaal ada ki ham to
ho ve qissa hi ada teri ada ne chaha
ghar se kis tarah se yuun hazrat-e-munim niklen
di na buubu ne ijazat na divane chaha
ho ke yak-dast tire aur hi ai yar-e-numud
jab tujhe ham se kisi be-sar-o-pa ne chaha
marte marte bhi na yak-bar tujhe dekh liya
is qadar bhi na miri jaan qaza ne chaha
koi apna na hua silsila-jumban-e-junun
ek fil-jumla usi zulf-e-dota ne chaha
jis tarah chaho satao mujhe har roz buto
us ka ik raat evaz lunga khuda ne chaha
nam-e-anqa se bhi nang aata hai ‘ehsan’ mujhe
shohra-e-nam ko kyuun ahl-e-fana ne chaha
Leave a Reply