dil dhaḌkanon men jaise dhaḌakta usi ka tha
jaise mire vajud pe chehra usi ka tha
rakha hua tha jis ko zamane se duur duur
har lab pe us ka tazkira charcha usi ka tha
aane diya na chain kabhi ek pal mujhe
mere tasavvurat men dhaḌka usi ka tha
jis ne tamam shahr khanDar men badal diya
sikka tamam shahr men chalta usi ka tha
yuun to hazar zaḳhm mujhe aur bhi lage
lekin jo zaḳhm sab se tha gahra usi ka tha
shiddat ki pyaas ne mujhe ghera to ye khula
sahra ka jo makin tha dariya usi ka tha
ham ko hai aaj tak usi ta.abir ki talab
aaya tha kal ‘nabil’ jo sapna usi ka tha
raushan tha jis charagh ki lau se badan ‘nabil’
mujh ko tamam-umr hi dhaḌka usi ka tha
Leave a Reply