dikha do gar maang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
chuno jabin par kabhi jo afshan to niklen taare na asman par
nahin hain shabnam ke subh qatre ye barg-e-gul-ha-e-bostan par
ba-yad-e-atish-rukhan phaphule pade hain har phuul ki zaban par
kahan sar-e-shama par hai shoala nigah tuk kiije shama-dan par
ki ustukhan hai ghiza hamari huma ye baitha hai ustukhan par
asir-e-nau ki khabar le aa kar zara tu sayyad-e-zulm-pesha
yahan talak huun qafas men tadpa ki mere saare hain dhajjiyan par
hamare is ru-e-zard par jo sarishk-e-afshan hai abr-e-mizhgan
na dekhi laali kabhi barasti kisi ne yuun kisht-e-zaafaran par
koi gharibon ke marne se hava bandhi hai kisi ki zalim
agar sulaiman-e-vaqt hai to qadam na rakh mor-e-na-tavan par
bana ke aina saaf us ko kiya hai husn-e-ada se vaqif
ilahi aina-saz ki ab shitab patthar pade zaban par
jahan men us ke shahid ka ho na kyunki rutba buland yaaro
yahi hai mearaj ashiqon ki jo sar ho baad-az-fana sinan par
kare chaman men na kyunki barpa tira ye buuta sa qad qayamat
nisar ankhon pe kya hai nargis ki ghuncha qurban hai dahan par
rahi hai bazm-e-jahan men munim sada bulandi ke saath pasti
bisan-e-favvara qasd mat kar zamin se jaane ka asman par
safar adam ka kahan kare hai ye bahr-e-hasti se ek dam men
hubab chashmak-zani kare hai khizar tiri umr-e-javedan par
umiid kya charkh-e-sifla-parvar hamen ho ab tujh se ek naan ki
ki tere hathon se mah-e-nau ne yahan qanaat ki niim naan par
‘nasir’ kahte to sab yahan hain ki us ke ashiq hain ham va-lekin
bada sitam ho bada ghazab ho agar vo aa jaae imtihan par
Leave a Reply