dida-e-tar men kaun rahega
Dubte ghar men kaun rahega
sab hi aadhi maut marenge
raat nagar men kaun rahega
tujh pe jami hain sab ki nazren
teri nazar men kaun rahega
jang karenge ye to bata do
saath sipar men kaun rahega
zindagi jab ho ba.is-e-vahshat
maut ke Dar men kaun rahega
Leave a Reply