• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dida-E-Ashk-Bar Le Ke Chale

Dida-E-Ashk-Bar Le Ke Chale

dida-e-ashk-bar le ke chale

ham tiri yadgar le ke chale

dil men tasvir-e-yar le ke chale

ham qafas men bahar le ke chale

ḳhvahish-e-did le ke aa.e the

hasrat-e-intizar le ke chale

samne us ke ek bhi na chali

dil men baten hazar le ke chale

havas-e-gul men ham bhi aa.e the

daman-e-tar-tar le ke chale

jo mire saath Dubna chahe

mujh ko dariya ke paar le ke chale

tum se apna hi baar uTh na saka

ham zamane ka baar le ke chale

ham na iisa na sarmad o mansur

log kyuun su-e-dar le ke chale

bhar ke daman men ḳhaak us dar ki

ham to ku-e-nigar le ke chale

zindagi muḳhtasar mili thi hamen

hasraten be-shumar le ke chale

ruup naghmon ka de ke ham ‘naushad’

apne dil ki pukar le ke chale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHair Ummat Hain Mohabbat Hain Wafa Pyar Hain Hum

adeel-zaidi

Khaali duniya Mein Guzar Kya Karte

aanis-moin

Jiwan Ko dukh dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte

firaq-gorakhpuri

Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain

poet

Ras Aaya Hai Mujhe Wahshat Mein Mar Jaana Mera

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet