• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Did-E-Gulzar-E-Jahan Kyun Na Karen Sair to Hai

Did-E-Gulzar-E-Jahan Kyun Na Karen Sair to Hai

poet

did-e-gulzar-e-jahan kyuun na karen sair to hai

ek din jante hain ḳhatma-bilḳhair to hai

‘rind’ vaa.iz se abas karte ho shar ḳhair to hai

donon ghar ek hain ka.aba na sahi dair to hai

ḳhosha-chin banta hai kyuun mazra-e-har-dahqan ka

vasf-e-insan nahin ye sifat-e-tair to hai

na basar hovegi be-nashsha qadah-ḳhvaron ki

ho agar mai ki munadi hai falak sair to hai

ashna bahr-e-mohabbat ke shanavar hain sab

tu bhi us aag ke dariya ko agar pair to hai

rind-o-va.iz ke bakheḌon men bhala kaun paḌe

sab ko ma.alum hai in donon men ik bair to hai

murgh-e-dil mardum-e-bimar pe sadqa kar Daal

vaste sehhat-e-jan ke amal-e-tair to hai

jaise uḌti si suni hai ḳhabar-e-qatl-e-safir

puchhta phirta huun ik ek se kyuun ḳhair to hai

saqiya chand ghaḌe mai ke qadah-ḳhvaron men

sarf lillah agar hon amal-e-ḳhair to hai

dar-guzar hota hai aur hoga ba-qadr-e-imkan

aḳhir-e-kar ye pa-posh-o-sar-e-ghair to hai

kah liye ‘rind’ ne sab qafiye koi na chhuTa

angrezi magar ik qafiya-e-fair to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aaj Mehndi Lagae Baithe Hain

Use Ab Ke Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi

meena-kumari-naz

Ruh Ka Chehra Kitabi Hoga

bashar-nawaz

Mujhe Kahna Hai

Aaina Milta to Shayad Nazar Aate KHud Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet