Dhul Hi Dhul aDi Hai Mujh Mein

dhuul hī dhuul aḌī hai mujh meñ

sabz ik shāḳh jalī hai mujh meñ

kitnī vīrānī hai mere andar

kis qadar terī kamī hai mujh meñ

duur tak ab to ḳhamoshī hai bas

duur tak ab to yahī hai mujh meñ

maan letī huuñ mukammal ho tum

maan letī huuñ kamī hai mujh meñ

ḳhushk hone hī nahīñ detī aañkh

vo jo sāvan kī jhaḌī hai mujh meñ

Leave a Comment