dharti se akash men chhane vaali tu
dariyaon ki pyaas bujhane vaali tu
main ḳhvahish ki barf pighalne ka manzar
mere badan men aag lagane vaali tu
din bhar suraj aankh men bharne vaala main
shab bhar rangin ḳhvab sajane vaali tu
main taqdir ka maara apne haal pe ḳhush
tadbiron se kaam chalane vaali tu
sahra sahra dhuum machane vaala main
gulshan gulshan phuul khilane vaali tu
apni rau men bahne vaala dariya main
dariya men tufan uThane vaali tu
roz der se so kar uThne vaala ‘shan’
der raat tak use jagane vaali tu
Leave a Reply