dekho to zara ghazab khuda ka
zalim ne mujhi ko pahle taaka
allah ata kare qanaat
nuskha vajib-ul-ada ka
dil deta huun muft aur koi
pursan nahin naqd-e-narava ka
vaan mujh pe jafaen ho rahi hain
yaan vird hai lafz-e-marhaba ka
aana ho to nazaa men huun aao
ye vaqt nahin hai iltava ka
ab aae ho ban ke tum masiha
jab vaqt guzar chuka dava ka
daman men ravan hain ashk-e-gulgun
mahzar hai ye khun-e-muddaa ka
laaya to hai un ko jazb-e-ulfat
aaya to hai dhyan be-nava ka
main ho hi chuka tha zinda dargor
tum aa gae shukr hai khuda ka
duniya se guzar chuke to ‘parvin’
jhagda na raha fana baqa ka
Leave a Reply