• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Rubai / dekho To Mere Nala-O-Ah-O-Fughan Ki Or

dekho To Mere Nala-O-Ah-O-Fughan Ki Or

poet

dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or

baan is kadak se jaave hai kab asman ki or

masjid ko chhod aae kalisaiyan ki or

chhoda navah-e-kaaba chale ham butan ki or

zahid tire kamal pe maren hain pusht-e-pa

laae faro sar apna jo pir-e-mughan ki or

sukh niind be-khudi ki use turt aa gai

laaga jo gosh tuk bhi miri dastan ki or

tukde jigar ke bah chale ham-rah-e-sail-e-ashk

laata hai khinch khar-o-khas ab-e-ravan ki or

zalim silah bandh ke aana ba-qasd-e-qatl

kya hai zarur, apne kisi nim-jan ki or

kuchh kam nahin tiri nigah-o-abru-o-mizha

mat haath la tu khanjar-o-tegh-o-sinan ki or

teri nigah-e-mehr ne mujh se vo kuchh kiya

jo kuchh ki chashm-e-mah kare hai katan ki or

un ankhdiyon ki putliyon se aankh ja lagi

ja phirti naiin nigah ab un abruvan ki or

misraa ye apna aaya ‘jahandar’ ham ko yaad

chhoda navah-e-kaaba chale ham butan ki or

Filed Under: Rubai Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bahadur-shah-zafar

dekho Insan Khak Ka Putla Bana Kya Chiz Hai

poet

Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai

Na Fasle Ko Na raKHt-E-Safar Ko Dekhte Hain

Falak Ki Chiz Zamin Par Utar Lai Gai

Jhuka Hua Hai Jo Mujh Par Wajud Mera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet