dekhna bhi to unhen duur se dekha karna
sheva-e-ishq nahin husn ko rusva karna
ik nazar bhi tiri kaafi thi pa-e-rahat-e-jan
kuchh bhi dushvar na tha mujh ko shakeba karna
un ko yaan vaade pe aa lene de ai abr-e-bahar
jis qadar chahna phir baad men barsa karna
shaam ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni
din ho ya raat hamen zikr unhin ka karna
saum zahid ko mubarak rahe aabid ko salat
asiyon ko tiri rahmat pe bharosa karna
ashiqo husn-e-jafakar ka shikva hai gunah
tum khabardar khabardar na aisa karna
kuchh samajh men nahin aata ki ye kya hai ‘hasrat’
un se mil kar bhi na izhar-e-tamanna karna
Leave a Reply