dekh yuun ruuTh kar nahin jaate
baagh se be-samar nahin jaate
baat ko kar rahe hain ḳhatm yahin
teri auqat par nahin jaate
ya.ani ki log ab juda ho kar
zinda rahte hain mar nahin jaate
apni avargi men rahte hain
tere ushshaq ghar nahin jaate
kuuch kar jaa.en gar parinde to
un ke pichhe shajar nahin jaate
tere kuche ki samt paanv uThe
jab bhi socha udhar nahin jaate
Leave a Reply