dekh mohan tiri kamar ki taraf
phir gaya maani apne ghar ki taraf
jin ne dekhe tire lab-e-shirin
nazar us ki nahin shakar ki taraf
hai muhal un ka daam men aana
dil hai maail butan ka zar ki taraf
tere rukhsar ki safai dekh
chashm daana ki naiin guhar ki taraf
hain khushamad-talab sab ahl-e-duval
ghaur karte naiin hunar ki taraf
mah-ru ne safar kiya hai jidhar
dil mira hai usi nagar ki taraf
hashr men pak-baz hai ‘naji’
bad-amal jaenge saqar ki taraf
Leave a Reply