dekh kar us ko mujhe dhachka laga
misl-e-dariya tha magar pyasa laga
nafraton ki dhund men lipTa laga
aa.ine ka naqsh bhi jhuTa laga
saḳht-jan the bach ga.e is baar bhi
zaḳhm ab ke bhi hamen gahra laga
puure qad se istada jab hue
shahr ka har shaḳhs phir bauna laga
kis ki chhanv sa.eban karte ‘shafiq’
har shajar par ḳhauf ka saaya laga
Leave a Reply