de sako to zindagani do mujhe
lafz to main huun ma.ani do mujhe
kho na jaa.e mujh men ik bachcha hai jo
yuun karo koi kahani do mujhe
ham-zaban mera yahan koi nahin
laao apni be-zabani do mujhe
hai hava darkar meri aag ko
kab kaha us ne ki paani do mujhe
ek manzil ne to ‘danish’ ye kaha
raston ki kuchh nishani do mujhe
Leave a Reply