de raha hai samar udasi ka
mere dil men shajar udasi ka
puure tan ko bana ke miTTi se
dil banaya magar udasi ka
mujh se ik baar tu sabab to puchh
ai mire be-ḳhabar udasi ka
tu mudava na kar sakega kabhi
ai mire charagar udasi ka
aankh viran hai zehn gum-sum hai
aur dil hai nagar udasi ka
main ne dekha udaas nazron se
mausamon par asar udasi ka
sha.iri be-sabab nahin utri
ye bhi hai ik samar udasi ka
kaif-avar tha ibtida men ishq
aur baaqi safar udasi ka
pahle tum the makin magar ab to
dil hai muddat se ghar udasi ka
kaa.i jamne lagi hai manzar par
ye hua hai asar udasi ka
hijr ki shab ka chand aisa tha
jaise bu nama-bar udasi ka
aankh se uḌ gaya hai ta.ir-e-naum
ḳhvab men tha guzar udasi ka
Leave a Reply