main tumhare faisle ka hasil huun
tum mujh se be-vaj.h ulajhte ho
main ne jo tumhen kamyabiyan diin
khushiyan ata kiin
use kyuun nahin shumar karte
tumhari harkaton se dar aane vaali
zindagi bhar ki nakamiyan
talkhiyon ki surat
jab tumhare rag-o-pai men
paivast ho chuki hain
to
tum mujh se ulajh rahe ho
tum ye samajhte ho
ki main koi azad parinda huun
jo jab chaha jahan chaha
sub.h-o-sham kar liya
nahin
main ek zimmedar mausam ki tarah
apni ungliyon men
hua ke dor
lipta kar
daman-e-asman par naqsh-o-nigar
bana deta huun