dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya
mujh ko manzil pe bhi zalim ne Thaharne na diya
raqs karti rahi tufan men kashti meri
meri himmat ne mujhe paar utarne na diya
zindagi maut se bad-tar thi par ai va.ada-e-dost
lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya
multafit kal nazar aati thiin nigahen un ki
kahin dhoka to mujhe meri nazar ne na diya
yuun to rahne ko pareshani-e-ḳhatir hi rahi
teri zulfon ko magar main ne bikharne na diya
phuul to phuul the ai ḳhana-bar-andaz-e-chaman
tu ne kanTon se bhi daman mujhe bharne na diya
inhin alfaz men hai meri kahani ‘afzal’
gham ne jiine na diya shauq ne marne na diya
Leave a Reply