darmiyan-e-jism-o-jan hai ik ajab surat ki aaḌ
mujh ko dil ki dil ko hai meri ananiyat ki aaḌ
aa gaya tark-e-ḳhudi ka gar kabhi bhule se dhyan
dil ne paida ki har ek janib se har surat ki aaḌ
dete hain dil ke evaz vo dard bahr-e-imtihan
lete hain nam-e-ḳhuda apni tamaniyyat ki aaḌ
nafs-parvar karte hain badnam nam-e-mai-kashi
parda-e-pindar men lete hain kaifiyyat ki aaḌ
parda-dari chashm-e-na-mahram se thi madd-e-nazar
darmiyan men Daal di hai nuur ne hairat ki aaḌ
didani jo kuchh hai jalva dekh chashm-e-pak men
nuur ne vahdat men rah kar li hai kyuun kasrat ki aaḌ
jab nihan-o-ashkara jalva-e-janana hai
sab riya-kari hai sahir ḳhalvat-o-jalvat ki aaḌ
Leave a Reply