dariya jo chaḌha hai vo utarne nahin dena
ye lamha-e-maujud guzarne nahin dena
duniya hi nahin dil ko bhi is shahr-e-havas men
man-mani kisi haal men karne nahin dena
mahsus nahin hogi masiha ki zarurat
ye zaḳhm hi aisa hai ki bharne nahin dena
mushkil hai magar kaam ye karna hi paḌega
insan ko insan se Darne nahin dena
jis ḳhvab men ru-posh ho jiine ki tamanna
vo ḳhvab-e-dil-avez bikharne nahin dena
gar dil ko jala kar bhi dhuan karna paḌe to
in paudon ko kohre men ThiThurne nahin dena
Leave a Reply