darguzar jitna kiya hai vahi kaafi hai mujhe
ab tujhe qatl bhi kar duun to muafi hai mujhe
mas.ala aise koi hal to na hoga shayad
sher kahna hi mire gham ki talafi hai mujhe
daf.atan ik na.e ehsas ne chaunka sa diya
main to samjha tha ki har saans izafi hai mujhe
main na kahta tha dava.en nahin kaam a.engi
janta tha tiri avaz hi shafi hai mujhe
is se andaza lagao ki main kis haal men huun
ghair ka dhyan bhi ab va.ada-ḳhilafi hai mujhe
vo kahin samne aa jaa.e to kya ho ‘javvad’
yaad hi us ki agar sina-shigafi hai mujhe
Leave a Reply