dard ka gahra samundar aur main
zindagi ka sar pe patthar aur main
is taraf shishe hi shishe aur vo
us taraf patthar hi patthar aur main
hai yahi ahd-e-junun ki yadgar
ek kucha ek patthar aur main
TuuT jaane ko hain sab jam-o-subu
ek laghzish ek Thokar aur main
ban gaya tariḳh ka ḳhunin varaq
pusht men paivast ḳhanjar aur main
ye musallas ahd ki tariḳh hai
ek qatil ek ḳhanjar aur main
ye musallas dekh kya laata hai rang
mera sar mera hi patthar aur main
Leave a Reply