• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dard-E-Dil Bhi Kabhi Lahu Hoga

Dard-E-Dil Bhi Kabhi Lahu Hoga

dard-e-dil bhi kabhi lahu hoga

koi arman to sruḳh-ru hoga

aarzu koi bar na aa.egi

yahi anjam-e-arzu hoga

dekh kar mere dil ki barbadi

kaun shaida-e-rang-o-bu hoga

a.ine men hamen vo dekhenge

a.ina un ke ru-ba-ru hoga

ham na honge to ai gham-e-janan

kis ko yara-e-arzu hoga

kuchh to farma.en aap tum ya tu

kuchh to andaz-e-guftugu hoga

un ke andaza-e-karam ke liye

har nafas vaqf-e-arzu hoga

tab-e-nazzara-e-jamal kise

ek main hunga ek tu hoga

mere aate hi bazm saaqi men

sab ke lab par subu subu hoga

harf-e-matlab zaban pe kyuun aa.e

ye to iz.har-e-arzu hoga

manzilon se guzar ke bhi ‘sahir’

dil ka maqsud justuju hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Umar-E-Hijr Agar Sarf-E-Intizar Na Ho

Dua Se Kuchh Na Hua Iltija Se Kuchh Na Hua

waseem-barelvi

Kitna dushwar Tha duniya Ye Hunar Aana Bhi

Phail Rahe Hain Waqt Ke Sae

Main Bahaaron Ke Rup Mein Gum Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet