dard dil se kabhi juda na hua
koi hamdard aap sa na hua
un ke hamrah tha tamam safar
tai magar phir bhi rasta na hua
ham bhanvar men the dubte hi gae
nakhuda to kabhi khuda na hua
aap ka gham hai aap se behtar
vo kabhi ham se be-vafa na hua
hain sabhi log shahr ke achchhe
ham se badh kar koi bura na hua
ham se ruthi rahi ‘kiran’ lekin
dil to dil se kabhi juda na hua
Leave a Reply