kab sune zanjir mujh majruh divane ki arz
niin pahunchti kaan tak us zulf ke shane ki arz
garmi ahl-e-bazm se mat kar ki main hota huun daagh
shama ki khidmat men hai itni hi parvane ki arz
shisha mujh dil sa na paave aur tiri ankhon sa jaam
le agar saaqi hazaron saal maikhane ki arz
dil ko viran mat karo ye hai junun ka pa-e-takht
ai pari-zadon kabhu suniye bhi divane ki arz
fasl jaati hai ‘yaqin’ aur baghban se ek yaar
koi karta niin hamare baagh men jaane ki arz
Leave a Reply