Barish Mein Ahd toD Ke Gar Mai-Kashi Hui

bārish meñ ahd toḌ ke gar mai-kashī huī

tauba marī phiregī kahāñ bhīgtī huī

pesh aa.e laakh rañj agar ik ḳhushī huī

parvardigār ye bhī koī zindagī huī

achchhā to donoñ vaqt mile kosiye huzūr

phir bhī marīz-e-ġham kī agar zindagī huī

ai andalīb apne nasheman kī ḳhair maañg

bijlī ga.ī hai sū-e-chaman dekhtī huī

dekho charāġh-e-qabr use kyā javāb de

aa.egī shām-e-hijr mujhe pūchhtī huī

qāsid unhīñ ko jā ke diyā thā hamārā ḳhat

vo mil ga.e the un se koī baat bhī huii?

jab tak ki terī bazm meñ chaltā rahegā jaam

saaqī rahegī gardish-e-daurāñ rukī huī

maanā ki un se raat kā va.ada hai ai ‘qamar’

kaise vo aa sakeñge agar chāñdnī huī

Leave a Comment