daraz itna miri qaid ka zamana tha
ki vo chaman na raha jis men ashiyana tha
baha.e ashk jo us ne ye ik bahana tha
ki ḳhun-baha ko mire ḳhaak men milana tha
bala se jaan ga.i intizar men meri
mujhe to aap ka ik va.ada azmana tha
jafa-e-charḳh zaruri thi ishq se pahle
ki apne dil ka mujhe zor azmana tha
ab intizar tumhara main aur kya karta
hui thi der bahut mujh ko duur jaana tha
jahan ham aaj gharib-ud-dayar hain ‘natiq’
usi dayar men apna gharib-ḳhana tha
Leave a Reply