Dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe
dikha.i ḳhvab diye raat bhar khanDar ke mujhe
har ik ghazal men main rozana chand Tankta huun
sitare chumte hain shab utar utar ke mujhe
ganva di umr use nazm kar nahin paaya
saliqe aate hain vaise to har hunar ke mujhe
is ek shauq ne mujh ko miTa diya yaaro
bas ek baar kabhi dekhna tha mar ke mujhe
kinare baiTh ke karta huun nazm ashkon ko
nadi sunati hai afsane chashm-e-tar ke mujhe
main ik adhuri si tasvir tha udasi ki
kiya hai us ne mukammal tabah kar ke mujhe
Leave a Reply