Dar raha huun na ḳhauf kha raha huun
be-sabab baat ko baḌha raha huun
us ki ḳhushbu pahan raha huun kabhi
kabhi avaz men naha raha huun
phuul tak us ko de nahin sakta
phir hare baagh kyuun dikha raha huun
kar raha huun main baat ek se aur
dusre shaḳhs ko suna raha huun
be-tahasha dikha.i de vo mujhe
har taraf aa.ine laga raha huun
main bahut ḳhud-pasand huun lekin
us ke kahne pe muskura raha huun
tum kisi daur men pari rahi ho
aaj bachchon ko sab bata raha huun
kaash vo bhi kabhi bata.e ki main
us ko shiddat se yaad aa raha huun
Leave a Reply